us ka khiram dekh ke jaya na jaega ai kabk phir bahaal bhi aaya na jaega hum kushtgan-e-ishq hain abru-o-chashm-e-yar sar se hamare tegh ka saya na jaega hum rahrawan-e-rah-e-fana hain barang-e-umr jawenge aise khoj bhi paya na jaega phoda sa sari raat jo pakta rahega dil to subh tak to hath lagaya na jaega apne shahid-e-naz se bas hath utha ki phir diwan-e-hashr mein use laya na jaega ab dekh le ki sina bhi taza hua hai chaak phir hum se apna haal dikhaya na jaega hum be-khudan-e-mahfil-e-taswir ab gae aainda hum se aap mein aaya na jaega go be-sutun ko tal de aage se kohkan sang-e-garan-e-ishq uthaya na jaega hum to gae the shaikh ko insan bujh kar par ab se khanqah mein jaya na jaega yaad us ki itni khub nahin 'mir' baz aa nadan phir wo ji se bhulaya na jaega