us ke kuche se jo uth ahl-e-wafa jate hain ta-nazar kaam kare ru-ba-qafa jate hain muttasil rote hi rahiye to bujhe aatish-e-dil ek do aansu to aur aag laga jate hain waqt-e-khush un ka jo ham-bazm hain tere hum to dar-o-diwar ko ahwal suna jate hain jaegi taqat-e-pa aah tu kariyega kya ab to hum haal kabhu tum ko dikha jate hain ek bimar-e-judai hun main aaphi tis par puchhne wale juda jaan ko kha jate hain ghair ki tegh-e-zaban se teri majlis mein to hum aa ke roz ek naya zakhm utha jate hain arz-e-wahshat na diya kar to bagule itni apni wadi pe kabhu yar bhi aa jate hain 'mir' sahab bhi tere kuche mein shab aate hain lek jaise daryuza-gari karne gada jate hain