us kam-sukhan ki ab ke guftar dekh lena har baat par chalegi talwar dekh lena taqlid kar rahe ho tum jis ke qafile ki us mir-e-karwan ka kirdar dekh lena apni tabiaton ke malik hain ye farishte inkar dekh lena iqrar dekh lena mutlaq nazar na rakhna mazi ki laghzishon par khinchega kaun ab ke diwar dekh lena nazuk mizaj hain wo sunte nahin kisi ki rakhte hain kya irade sarkar dekh lena tu kya hai ai 'rafia' ab duniya ke aaine mein tera maqam kya hai akhbar dekh lena