us ku main hue hum wo lab-e-baam na aaya ai jazba-e-dil tu bhi kisi kaam na aaya tha meri tarah ghair ko bhi dawa-e-ulfat naseh tu use dene ko ilzam na aaya be-baal-o-pari khoti hai tauqir-e-asiri sayyaad yahan le ke kabhi dam na aaya is naz ke sadqe hun tere main ki udu se sau bar suna hai pe mera nam na aaya kya jaaniye kis tarah diya tu ne jawab aah qasid ki zaban par tera paigham na aaya taskin' karun kya dil-e-muztar ka ilaj ab kam-bakht ko mar kar bhi to aaram na aaya