us manzar-e-sada mein kai jal bandhe the jab us ka gareban khula baal bandhe the ai zud-faramosh kahan tu hai ki tujh se mere to shab-o-roz mah-o-sal bandhe the wo rashk-e-ghazalan tha magar dam mein us ke hum jaise kai said-e-zabun-haal bandhe the dekhe koi naseh ki jo haalat hai ki hum to us but ki mohabbat mein bahar-haal bandhe the sayyaad ko phir bhi meri parwaz ka dar tha main garche qafas mein tha par-o-baal bandhe the yun dil tah-o-baala kabhi hote nahin dekhe ek shakhs ke panw se to bhaunchaal bandhe the waqt aaya to main maqtal-e-jaan mein tha akela yaron ki girah mein faqat aqwal bandhe the