us masihai ke sadqe kaam-e-jaan tak aa gai tajribe karte hue naubat yahan tak aa gai ab to gahwaron pe khadim rakh liye man-bap ne mamta takhmina-e-sud-o-ziyan tak aa gai tu ne koshish to yahi ki thi ki ghar mera jale aag jab bhadki to phir tere makan tak aa gai is nizam-e-ab-o-gil mein zahr phailane ke baad phir wahi shorish zamin se aasman tak aa gai mujh mein aur duniya mein phir kya farq hoga dosto zindagi ki hai jo talkhi gar zaban tak aa gai itni qurbat thi hamari apne tir-andaz se dhaar khun ki jism se nikli kaman tak aa gai band ye apne tashakhkhus ka na bah jae kahin mauj-e-sail-e-tund khatre ke nishan tak aa gai