us par banti mitti dhanak us ke nam ki is par main hun aur siyahi hai sham ki kin kin bulandiyon se ulajhta raha hai zehn ye aasman jhalak bhi nahin us ke baam ki alfaz ki giraft se hai mawara hanuz ek baat kah gaya wo magar kitne kaam ki ejaz de raha hun ab apne hunar ko main shamshir ke liye hai zarurat niyam ki ek raushni si mujh pe utarti hai gah gah buniyaad us ne dali payam-o-salam ki khushbu ka koi rang na paikar na pairahan taswir hai magar tere tarz-e-khiram ki bolo ki tum bhi rakhte ho ek sarguzisht 'ramz' sambhlo ki us ne apni kahani tamam ki