rukh badalte hichkichate the ki dar aisa bhi tha hum hawa ke sath chalte the magar aisa bhi tha laut aati thin kai sabiq paton ki chitthiyan ghar badal dete the bashinde magar aisa bhi tha wo kisi ka bhi na tha lekin tha sab ka mo'tabar koi kya jaane ki us mein ek hunar aisa bhi tha panw aainda ki jaanib sar guzishta ki taraf yun bhi chalte the musafir ek safar aisa bhi tha taulta tha ek ko ek ashya-e-masraf ki tarah dosti thi aur andaz-e-nazar aisa bhi tha khud se ghafil ho ke jo pal bhar na khud ko sochta is bhari basti mein koi be-khabar aisa bhi tha har nai rut mein badal jati thi takhti nam ki jis ko hum apna samajhte koi ghar aisa bhi tha