us par tumhaare pyar ka ilzam bhi to hai achchha sahi 'qatil' pa badnam bhi to hai aankhen har ek hasin ki be-faiz to nahin kuchh sagaron mein baada-e-gulfam bhi to hai palkon pe ab nahin hai wo pahla sa bar-e-gham rone ke baad kuchh hamein aaram bhi to hai aakhir buri hai kya dil-e-nakaam ki khalish sath us ke ek lazzat-e-be-nam bhi to hai kar to liya hai qasd ibaadat ki raat ka raste mein jhumti hui ek sham bhi to hai hum jaante hain jis ko kisi aur nam se ek nam us ka gardish-e-ayyam bhi to hai a tishna-kaam-e-shauq ise aazma ke dekh wo aankh sirf aankh nahin jam bhi to hai munkir nahin koi bhi wafa ka magar 'qatil' duniya ke samne mera anjam bhi to hai