tum aa gae ho to kyun intizar-e-sham karen kaho to kyun na abhi se kuchh ehtimam karen khulus-o-mehr-o-wafa log kar chuke hain bahut mere khayal mein ab aur koi kaam karen ye khas-o-am ki be-kar guftugu kab tak qubul kijiye jo faisla awam karen har aadmi nahin shaista-e-rumuz-e-sukhan wo kam-sukhan ho mukhatab to ham-kalam karen juda hue hain bahut log ek tum bhi sahi ab itni baat pe kya zindagi haram karen khuda agar kabhi kuchh ikhtiyar de hum ko tu pahle khak-nashinon ka intizam karen rah-e-talab mein jo gumnam mar gae 'nasir' mata-e-dard unhi sathiyon ke nam karen