us pe karna mere nalon ne asar chhod diya mujh ko ek lutf ki kar ke jo nazar chhod diya saunp kar khana-e-dil gham ko kidhar jate ho phir na paoge agar us ne ye ghar chhod diya ashk-e-sozan ne jalae mere lakhon daman ponchhna main ne to ab dida-e-tar chhod diya bakhiya-gar jal gaya kya hath tera sozish se karte karte jo rafu chaak-e-jigar chhod diya gulshan-e-dahr mein khami ne bachaya hum ko dekh kar kham kudurat ne samar chhod diya le gae samne hakim ke mere qatil ko is ko us ne bhi samajh khun-e-pidar chhod diya nek o bad kuchh nazar aata nahin wo wahshat hai parda ghaflat ka mere pesh-e-nazar chhod diya kucha-e-zulf ko katra ke gaya dil rukh par us ne wo rasta-e-pur-khauf-o-khatar chhod diya ai falak khana-kharabi ki hai parwa kis ko dasht mein rahte hain muddat hui ghar chhod diya mujh pe ehsan saba ka hai ki kuche mein tere khak ko meri sar-e-rahguzar chhod diya mujh ko ai aah tajjub hai ki kashana-e-ghair kal shab-e-hijr ne barsa ke sharar chhod diya bhar gaya dil mera ek chiz ko khate khate khun-e-dil khaenge ab khun-e-jigar chhod diya bojh se aap hi mar jaega kyun ho badnam ye samajh kar but-e-saffak ne sar chhod diya nahin tir-e-nigah-e-yar se bachna mumkin kal hai maujud wo din aaj agar chhod diya aa gaya dil mein jo aalam ka musakhkhar karna zulf ko chehre pe hangam-e-sahar chhod diya ye nahin hai rah-e-but-khana kidhar jaana hai aaj se hum ne tera sath khizar chhod diya kar diya tiron se chhalni mujhe sara lekin khun hone ke liye us ne jigar chhod diya sath dekha tha use kal to tere ai majnun aaj us 'arif'-e-wahshi ko kidhar chhod diya