us pe kya guzregi waqt marg andaza laga muntashir hasti ka apni jis ko shiraaza laga auliya-allah ki chaukhat ke bhi aadab hain sar utha kar jo bhi aaya us ko darwaza laga nur ki chadar tani hai yun faza-e-dahr par jaise tare todne ko dast-e-khamyaza laga jaane kis andaz se us shokh ne dali nazar jo purana zakhm tha wo bhi hamein taza laga mai-kade ka ek hi dam mein badal jae nizam su-e-mai-khana bhi 'asi' aisa aawaza laga