kis ne ye taswir banai baadal par jiyun koi chunari lahrai baadal par jangal jangal basti basti ye ghume dekho thak kar silwat aai baadal par ya to titli bhuli un par rang apne ya rangon ne hat lagai baadal par shab bhar chalta lukna-chhupna chanda ka din mein suraj se ranai baadal par baadal mein har mazhab ke rab rahte hain dekhi kya mazhab ki ladai baadal par