us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin takht par baithe hain yun jaise utarna hi nahin yun mah-o-anjum ki wadi mein ude phirte hain wo khak ke zarron pe jaise panw dharna hi nahin un ka dawa hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulam shab jo hum par aai hai us ko guzarna hi nahin kya ilaj us ka agar ho muddaa un ka yahi ehtimam rang-o-bu gulshan mein karna hi nahin zulm se hain barsar-e-paikar aazadi-pasand un pahadon mein jahan par koi jharna hi nahin dil bhi un ke hain siyah khurak-e-zindan ki tarah un se apna gham bayan ab hum ko karna hi nahin intiha kar len sitam ki log abhi hain khwab mein jag utthe jab log to un ko thaharna hi nahin