us samt mujh ko yar ne jaane nahin diya ek aur shahr-e-yar mein aane nahin diya kuchh waqt chahte the ki sochen tere liye tu ne wo waqt hum ko zamane nahin diya manzil hai us mahak ki kahan kis chaman mein hai us ka pata safar mein hawa ne nahin diya roka ana ne kawish-e-be-sud se mujhe us but ko apna haal sunane nahin diya hai jis ke baad ahd-e-zawal-ashna 'munir' itna kamal hum ko khuda ne nahin diya