us ki jab bazm se hum ho ke ba-tang aate hain apne sath aap hi karte hue jang aate hain husn mein jab tain garmi na ho ji dewe kaun sham-e-taswir ke kab gird patang aate hain dil ko kis bu-qalamon jalwe ne hai khun kiya ashk aaankhon se jo ye rang-ba-rang aate hain aah tazim ko uthti hai mere sine se dil pe jab us ki nigahon ke khadang aate hain shart gar puchho to hai is mein bhi qismat warna aashiqi karne ke har ek ko dhang aate hain nakhl-e-wahshat bhi magar un ka samar rakhta hai har taraf se jo ye diwaron pe sang aate hain hairat-afza hai ajab kucha-e-dildar 'hasan' jo wahan jate hain is tarf se dang aate hain