us sang-dil ke dil mein mohabbat ne ghar kiya

us sang-dil ke dil mein mohabbat ne ghar kiya
muddat ke baad aah ne apni asar kiya

tegh-e-nigah ke samne sina sipar kiya
kab hum ne apni jaan ka khauf-o-khatar kiya

sabit karo khata meri phir apna munh chhupao
kis raat ko nazara-e-ru-e-qamar kiya

sayyaad ka ye zulm na bhulunga umr bhar
fasl-e-bahaar aate hi be-baal-o-par kiya

lo apne ghar wo subh se pahle hi jate hain
andher kya ye nala-e-murgh-e-sahar kiya

chaunke sada-e-sur-e-sarafil se na hum
saqi teri nigah ne ye be-khabar kiya

katunga is ada pe gila apne hath se
qatil ne aaj nimcha zeb-e-kamar kiya

rukhsat ka nam sunte hi bas dam nikal gaya
jaane se un ke pahle hi hum ne safar kiya

kya kya kiya na aap ki ulfat ne mere sath
ruswa kiya kharab kiya dar-ba-dar kiya

'wahbi' phir un ke wasl ko tarsoge umr bhar
nala shab-e-firaq mein tum ne agar kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close