shab-e-wasl unhen zid agar ho gai

shab-e-wasl unhen zid agar ho gai
naqab uthte uthte sahar ho gai

shab-e-wasl kya mukhtasar ho gai
palak marte hi sahar ho gai

agar un ki tirchhi nazar ho gai
meri jaan sina-sipar ho gai

na kuchh mu-shigafon se uqda khula
muamma tumhaari kamar ho gai

lagi hai jo ashkon ki har dam jhadi
ghata kya meri chashm-e-tar ho gai

haram chhod kar main gaya su-e-dair
tabiat kidhar se kidhar ho gai

nahin rahm us sang-dil ko zara
meri aah kya be-asar ho gai

chhupaya bahut ishq hum ne magar
unhen sab se pahle khabar ho gai

khabar li na us ghairat-e-mah ne
tadapte rahe raat bhar ho gai

nahin kate katti hai furqat ki shab
ghadi mujh ko ek ek pahar ho gai

chhue panw main ne jo us shokh ke
hina bais-e-dard-e-sar ho gai

buto tum ko sajde kiye is qadar
hamari jabin sang-e-dar ho gai

kiya us shakar-lab ne eajaz ye
bajai jo nai nai-shakar ho gai

jamaya jo 'wahbi' ne apna qadam
ladai mohabbat ki sar ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close