us ki nazron mein intikhab hua dil ajab husn se kharab hua ishq ka sehr kaamyab hua main tera tu mera jawab hua har nafas mauj-e-iztirab hua zindagi kya hui azab hua jazba-e-shauq kaamyab hua aaj mujh se unhen hijab hua main banun kis liye na mast-e-sharab kyun mujassam koi shabab hua nigah-e-naz le khabar warna dard mahbub-e-iztirab hua meri barbaadiyan durust magar tu bata kya tujhe sawab hua ain qurbat bhi ain furqat bhi hae wo qatra jo habab hua mastiyan har taraf hain aawara kaun ghaarat-gar-e-sharab hua dil ko chhuna na ai nasim-e-karam ab ye dil rau-kash-e-habab hua ishq-e-be-imtiyaz ke hathon husn khud bhi shikast-yab hua jab wo aae to pesh-tar sab se meri aankhon ko izn-e-khwab hua dil ki har chiz jagmaga utthi aaj shayad wo be-naqab hua daur-e-hangama-e-nashat na puchh ab wo sab kuchh khayal o khwab hua tu ne jis ashk par nazar dali josh kha kar wahi sharab hua sitam-e-khas-e-yar ki hai qasam karam-e-yar be-hisab hua