us se gile shikayaten shikwe bhi chhod do dar us ka chhut gaya to dariche bhi chhod do kaisa hai wo kahan hai bana kis ka ham-safar behtar hai kuchh sawal adhure bhi chhod do ek bewafa ka nam likhoge kahan talak auraq apne mazi ke sade bhi chhod do jine ke waste na sahaare karo talash jab dub hi rahe ho to tinke bhi chhod do shayad nae makan mein un ka na dil lage ghar chhodne lago to parinde bhi chhod do jis ne tumhein charaghon se mahrum kar diya us ki gali ke chand sitare bhi chhod do dariya se dur rahna hi behtar hai ab 'shakil' dhaare se kat gae to kinare bhi chhod do