qatl ushshaq kiya karte hain but kahan khauf-e-khuda karte hain sar mera tan se juda karte hain dard ki aap dawa karte hain aatish-e-gham ne magar phunk diya dil se shole jo utha karte hain jama-e-surkh tera dekh ke gul pairahan apna qaba karte hain khun rote hain chaman mein bulbul hum gulon se jo hansa karte hain kham-e-abru-e-sanam ko dekhen hum ye kabe mein dua karte hain apne saqi ko shab-e-furqat mein pani pi pi ke dua karte hain roz do-chaar ka khun karta hai dast-o-pa surkh raha karte hain mar gae par hadaf-e-tir hai khak ja-ba-ja tode bana karte hain dahan-e-zakhm se hum qatil ke tegh ko chum liya karte hain shor-e-mahshar se daren kya aashiq aise hangame hua karte hain hote hain dil mein nihayat nadim khun jo be-jurm kiya karte hain mehndi malne ke bahane qatil kaf-e-afsos mala karte hain ewaz-e-baada gham-e-saqi mein khun-e-dil apna piya karte hain panw tak hath na pahuncha us ki hath haihat mala karte hain jo hamein bhul gaya hai zalim us ko hum yaad kiya karte hain na-tawani ne diye par hum ko jiwan-e-par-e-kah uda karte hain hum bane chand ke haale 'goya' hain gird us mah ke raha karte hain