us se kah do ki wo jafa na kare By Ghazal << sarw mein rang hai kuchh ... nazar bujhi to karishme b... >> us se kah do ki wo jafa na kare kahin mujh sa use khuda na kare aaina dekh kar ghurur fuzul baat wo kar jo dusra na kare main masiha use samajhta hun jo mere dard ki dawa na kare 'muztar' us ne sawal-e-ulfat par kis ada se kaha khuda na kare Share on: