us se rishta tha ek do pal ka

us se rishta tha ek do pal ka
aur salim hai khauf dil dil ka

kitne tufan jazb karta hai
ped phir bhi hara hai jangle ka

aa gae boriya nashinon mein
dil mera ho gaya hai makhmal ka

har taraf tha nushur ka aalam
aa gae ghar to ji hua halka

jab se aankhon mein bujh gae sapne
phir kabhi ashk bhi nahin chhalka

koi mausam ho wo baras jae
ek tukda hai shokh baadal ka

ye zamana 'nisar' hai us par
khauf jis ko nahin hai maqtal ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close