tufan hai agar ghar ke darpai yun baiTh na jao kuchh to karo

tufan hai agar ghar ke darpai yun baith na jao kuchh to karo
khidki ke shikasta shishe par kaghaz hi lagao kuchh to karo

insan ke qabza-e-qudrat mein ek nutq nahin hai bahut kuchh hai
honton se na nikle baat agar aankhon se sunao kuchh to karo

mahrum-e-tamanna rahne ka sannata kha jaega tumhein
mayusi ke sakte se bacho aansu hi bahao kuchh to karo

sultan ke qasr-e-marmar ka darwaza-e-ahan band sahi
gar tod nahin sakte us ko zanjir hilao kuchh to karo

ai jalte hue ghar ke logo shoalon mein ghire kya sochte ho
jab aag bujhana mushkil hai bahar nikal aao kuchh to karo

ye khet jo chup hain bolenge aur akhuwe aankhen kholenge
barish na sahi bijli hi sahi kuchh to barsao kuchh to karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close