use betab ho kar sochti hun main ek gulfam aksar sochti hun hui hail kuchh aisi bad-gumani main ek hire ko patthar sochti hun wo ek lamha jo bita kal hai mera main har lamha wo manzar sochti hun hun jis ki zat se wabasta kab se ab us ko apna mehwar sochti hun meri doli jahan se saj ke nikli main babul ka wahi ghar sochti hun ye haw-hu badan ke ghaw par hai magar main dil ke nashtar sochti hun tumhaari yaad ke baadal jo aae to ban kar baad-e-sar-sar sochti hun 'sabila' kya kahun manzil kahan hai khuda waqif hai jo dar sochti hun