zer-e-zamin hun tishna-e-didar-e-yar ka aalam wahi hai aaj talak intizar ka guzra sharab pine se le kaun dard-e-sar saqi dimagh kis ko hai ranj-e-khumar ka mahshar ke roz bhi na khulegi hamari aankh sadma utha chuke hain shab-e-intizar ka ibrat ki ja hai aalam-e-duniya na kar ghurur sar kasa-e-gada hai kisi tajdar ka baad-e-fana bhi hai maraz-e-ishq ka asar dekho ki rang zard hai mere ghubar ka ulfat na kuchh pari se na kuchh hur se hai ishq mushtaq 'barq' roz-e-azal se hai yar ka