use bhulae hue mujh ko ek zamana hua ki ab tamam mere dard ka fasana hua hua badan mera dushman adu hui meri ruh main kis ke dam mein aaya hawas-nishana hua yahi charagh jo raushan hai bujh bhi sakta tha bhala hua ki hawaon ka samna na hua ki jis ki subh mahakti thi sham raushan thi suna hai wo dar-e-daulat gharib-khana hua wo log khush hain ki wabasta-e-zamana hain main mutmain hun ki dar us ka mujh pe wa na hua