dil bahut masruf tha kal aaj be-karon mein hai sat pardon mein jo rahta tha wo bazaron mein hai khak ke putle falak ki sarhadon ko chhu chuke aur jise insan kahte hain abhi ghaaron mein hai laj rakh lete hain meri munh pe kuchh kahte nahin dushmani ka kuchh saliqa to mere pyaron mein hai sab ko dekha aur kisi ko dekh kar tuta nahin aaina shayad abhi apne parastaron mein hai dhup kaisi thi ki mere hath kale kar gai tirgi ka rang shayad nur ke dhaaron mein hai sab sadaen lafz hain lafzon ke pichhe kuchh nahin dekhna ye hai ki koi sar bhi dastaron mein hai bar-sar-e-paikar donon hain natija kuchh nahin josh hai dariyaon mein aur sabr diwaron mein hai khair o shar ki mishalon ko tu bujhata kyun nahin main to kya hun ek farishta bhi gunahgaron mein hai dekhte kya ho ki khud manzar tumhein takne laga bechte kya ho ki yusuf bhi kharidaron mein hai koi bhi manzil nahin apni kashish donon taraf panw mitti mein gade hain aankh sayyaron mein hai ab haqiqat jaan kar 'shahzad' kya lena mujhe wajh-e-ghaza hi sahi shoala to rukhsaron mein hai