use dekha to har be-chehragi kasa utha lai tamanna apne khali hath mein duniya utha lai mujhe to apni sari khetiyan sairab karni thin magar wo mauj apne sath ek sahra utha lai rifaqat ko meri tanhai bhuli-bisri yaadon se koi saya utha lai koi chehra utha lai unhen khushbu ki chahat mein bahut narmi se chhuna tha hawa-e-sham to phulon ki komalta utha lai wahan to aab-e-shirin ki kai labrez jhilen thin to phir kyun tishnagi meri mujhe pyasa utha lai kabhi in wadiyon mein dur tak raste firozan the 'shahab' ek sar-phiri mauj-e-hawa kohra utha lai