main apne-ap se pichha chhuda ke nikal jaun kahin rassi tuda ke qadam aakhir uthana hi padega nahin to gir padunga dagmaga ke kahan hai ab wo mashq aawargi ki sambhal jaunga lekin ladkhada ke kisi ke dar pe jaane ka natija main dekh aaya hun us ke dar pe ja ke basar ki is tarah duniya mein goya guzari jail mein chakki chala ke likhi hai bandagi mein sar-bulandi milo har aadmi se sar jhuka ke kisi ke kaam aao zindagi mein khushi hogi kisi ke kaam aa ke