use ghurur bahut ab hai parsai ka

use ghurur bahut ab hai parsai ka
koi to ho ke jo dawa kare khudai ka

use ye ranj ki us ka kaha nahin mana
mujhe malal hua apni na-rasai ka

tu waqt rahte mujhe kyon sada nahin deta
kabhi to lutf utha meri ham-nawai ka

qafas badan ka jo ek aan mein idhar tuta
to ruh jashn manane lagi rihai ka

use bhi apne kai dost mil gae 'amrit'
tujhe bhi waqt mila khud se aashnai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close