wo sab ilzam mere sar pe dharta ja raha hai zamane ki nigahon mein sanwarta ja raha hai nai har dosti ke marhale par ek rishta ikattha karta jata hun bikharta ja raha hai kisi ko bha gai hai mere raste ki musibat safar hisse ka mere koi karta ja raha hai wo hasil ho chuka hai jis ko pane ki thi hasrat junun jo tha kabhi sar par utarta ja raha hai