use kaamyabi ki hajat nahin mohabbat hai koi tijarat nahin khatawar shukr-o-shikayat nahin use baat karne ki aadat nahin main rahta hun us ke khayalon mein gum mujhe sans lene ki fursat nahin wo hai rang khushbu dhanak chandni use zeb-o-zinat ki hajat nahin sitamgar wo mujh par ho jab mehrban mubarak koi aisi saat nahin uthaun main naz us gul-andam ke mere waste ye saadat nahin khushi ke taaqub mein hai gham yahan ye duniya jahannum hai jannat nahin qarin-e-haqiqat hai ye qaul bhi zamane mein ab kuchh sharafat nahin main is ko mohabbat ka tohfa kahun agar tum ko mujh se shikayat nahin main karta hun jin sathiyon se gurez mujhe un se koi shikayat nahin mujhe hasidon se hai shikwa magar khuda waste ki adawat nahin teri baat sachchi hai waiz magar bayan mein tere kuchh latafat nahin jamaat hai husn-e-ibaadat magar jo dil se na ho wo ibaadat nahin hakimana ulfat se aarasta shariat se hat kar tariqat nahin jahan mein wahi ab hai be-ikhtiyar jise jhut bakne ki aadat nahin mohabbat mein hai raaz raaz-e-hayat mohabbat se badh kar ibaadat nahin