junun sar se utar gaya hai wajud lekin bikhar gaya hai bahut khasara hai aashiqi mein tamam ilm-o-hunar gaya hai main aur hi shakhs hun koi ab jo shakhs pahle tha mar gaya hai bahut kada tha wo waqt mujh par wo waqt lekin guzar gaya hai 'siraj' ek khush-mizaj chehra mujhe udasi se bhar gaya hai