use kah do hawadis ke bichhe hain jal saDkon par

use kah do hawadis ke bichhe hain jal sadkon par
chala karta hai jo har dam ghamandi chaal sadkon par

agar maslak ke jhagdon ne masajid bant rakkhi hain
to phir bahr-e-khuda apne musalle dal sadkon par

koi signal ke waqfe tak bhi rukne ko nahin raazi
ganwa deta hai koi hans ke salon-sal sadkon par

mashinen gadiyan hi ghumti hain raat-din yaro
hamare daur mein hai aadmi ka kal sadkon par

bigad jati hai jab taqdir ki aur waqt ki gadi
utar aate hain sultan ban ke phir kangal sadkon par

kunwari koi machhli shab mein tanha ghar se na nikle
ki shab mein phirte hain bhuke kai ghadiyal sadkon par

nahin gar nam mera na sahi par kam se kam ye ho
meri ghazlen chalen us ke labon ki lal sadkon par

chaman ki samt jati titliyan rah se bhatak jaen
wo lahra de jo gul jaise mahakte baal sadkon par

'nabil' is tarah chimti hai kisi ki yaad is dil se
jami rahti hai jaise gard ki ek shaal sadkon par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close