use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain gharaz hai to gharaz ke waste sau bar phirte hain idhar dekho bhala hum ko zamana kya nahin kahta to kya har ek se karte hue takrar phirte hain jo ab wahshat nahin bhi hai to apni chaal kyun chhoden jidhar ji chahe din-bhar raat-bhar be-kar phirte hain teri khatir mohabbat ho gai hai dil ki wahshat se hamein aawara-pan par aa gaya hai pyar phirte hain tadapne lutne ki aaj un tak bhi khabar pahunchi mujhe badnam karne ko mere gham-khwar phirte hain use hum mante hain to zamane-bhar se achchha hai magar achchhe bhi apne qaul se ai yar phirte hain samajhte hain samajhne wale us ko bhi riya-kari gali-kuchon mein kyun tere sitam-bardar phirte hain tumhein afsos kyun hai aashiqon ki kucha-gardi par phiraata hai muqaddar ye khudai khar phirte hain kahin aisa na ho ek roz tum bhi hum se phir jao yahan pahle hi apni jaan se bezar phirte hain wo dil ki aarzu ab hai na us ki justuju ab hai hamare panw mein chakkar hai hum be-kar phirte hain kisi kafir ka ghar tha ya nahin malum jannat thi abhi tak meri aankhon mein dar-o-diwar phirte hain zamane se nirala hai chalan in husn walon ka laqab to qatil-e-alam hai be-talwar phirte hain safi' ko tum ne to koi bada pahuncha hua samjha aji rahne bhi do aise bahut makkar phirte hain