dil har ghadi kahta hai yun jis taur se ab ho sake uth aur sambhal ghar se nikal aur pas us chanchal ke chal dekhi jo us mahbub ki hum ne jhalak hai kal ki kal pai har ek tawiz mein apne dil-e-bekal ki kal jab naz se hans kar kaha us ne are chal kya hai tu kya kya pasand aai hain us naznin chanchal ki chal hai wo kaf-e-pa narm-tar us ki ki waqt-e-ham-sari dale kaf-e-pa-e-sanam narmi wahin makhmal ki mal hum hain tumhaare mubtala muddat se hai ye aarzu baitho hamare pas bhi ai jaan kabhi ek pal ki pal hai dam ghanimat ai 'nazir' ab mai-kade mein baith kar tu aaj to mai pi miyan phir dekh lijo kal ki kal