use kyun sahar se nashat ho use kya malal ho sham se jise ishq hai tere zikr se jise uns hai tere nam se wo tumhaare taur-o-tariq the ki hazar rang badal liye ye hamare dil ka shuur hai na hate hum apne maqam se meri aarzu ke charagh par koi tabsira bhi kare to kya kabhi jal utha sar-e-sham se kabhi bujh gaya sar-e-sham se jo hayat-e-ishq sanwar gai to hayat-e-husn nikhar gai kabhi tere husn-e-khiram se kabhi mere soz-e-dawam se jo 'aziz-warsi' tha kabhi wo 'aziz-warsi' ab nahin na junun-e-ishq-e-butan hai ab na gharaz hai baada-o-jam se