na chhed zahid-e-nadan sharab pine de sharab pine de khana-kharab pine de abhi se apni nasihat ka zahar de na mujhe abhi to pine de aur be-hisab pine de main jaanta hun chhalakta hua gunah hai ye tu is gunah ko be-ehtisab pine de phir aisa waqt kahan hum kahan sharab kahan tilism-e-dahr hai naqsh-e-bar-ab pine de mere dimagh ki duniya ka aaftab hai ye mila ke barf mein ye aaftab pine de kisi hasina ke boson ke qabil ab na rahe to in labon se hamesha sharab pine de samajh ke us ko ghafur-ur-rahim pita hun na chhed zikr-e-azab-o-sawab pine de jo ruh ho chuki ek bar dagh-dar meri to aur hone de lekin sharab pine de sharab-khane mein ye shor kyun machaya hai khamosh 'akhtar'-e-khana-kharab pine de