na kuchh takrar tumko hai na kuchh shikwa hamara hai

na kuchh takrar tum ko hai na kuchh shikwa hamara hai
ye dil kya chiz hai ab jaan tak dena gawara hai

dam-e-raftar utha fitne qayamat ka ishaara hai
tera munh dekhna khurshed-e-mahshar ko nazara hai

wo mah-ru ai falak phirta hai har shab meri aankhon mein
tasawwur ne mere gham-khane mein ek chand tara hai

sar-e-baalin na paya tujh ko ai isa to ghabra kar
shab-e-furqat mein izrail ko hum ne pukara hai

falak qatil hai tegh-e-mah-e-nau ke zakhm hain tan par
shafaq hai khun hamara chandni ne hum ko mara hai

baja hai tujh se ai but khalq ko dawa mohabbat ka
khuda wahid hai par har shakhs kahta hai hamara hai

main hun ai ham-safir-e-bulbul-e-zar is gulistan ka
jo theke mein hai sayyaadon ke gulchin ka ijara hai

na puchho haal kuchh dil ki lagi ka mujh jale tan ki
jahannum jis ko kahte hain wo is ka ek sharara hai

siyah-kari hi main ne umr bhar ki tira-bakhti se
tera haal-e-siyah kya meri qismat ka sitara hai

mujhe bhi par utarna hai dubo kar kashti-e-tan ko
kinara gor ka gar bahr-e-ulfat ka kinara hai

gira hun kya judai mein ba-zor-e-na-tawani se
na taqat aah karne ki na uf karne ka yara hai

nikalta hai mera dam majma-e-yaran hai baalin par
na munh se baat hoti hai na aankhon se ishaara hai

farogh-e-khal ru-e-atishin par ho nahin mumkin
kahin khurshed ke bhi samne chamka sitara hai

banaya dana-e-angur ka kantha hai masti mein
chaman mein bahar-e-mai-khwari kiya jab istikhara hai

kisi surat meri bakhshish nahin ai 'arsh' hai mumkin
payambar ka wasila abr-e-rahmat ka sahaara hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close