use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin

use to pas-e-khulus-e-wafa zara bhi nahin
magar ye aas ka rishta ki tutta bhi nahin

ghire hue hain khamoshi ki barf mein kab se
kisi ke pas koi tesha-e-sada bhi nahin

maal-e-ghunch-o-gul hai meri nigahon mein
mujhe tabassum-e-kazib ka hausla bhi nahin

tulu-e-subh-e-azal se main dhundhta tha jise
mila to hai pa meri samt dekhta bhi nahin

meri sada se bhi raftar tez thi us ki
mujhe gila bhi nahin hai jo wo ruka bhi nahin

bikhar gai hai nigahon ki raushni warna
nazar na aae wo itna to fasla bhi nahin

suna hai aaj ka mauzu-e-majlis-e-tanqid
wo sher hai ki abhi main ne jo kaha bhi nahin

simat rahe hain sitaron ke fasle 'anwar'
padosiyon ko magar koi jaanta bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close