qarz ki mohlat guzar gai hai bhai muddat guzar gai hai wasl ke dawedar kaho kya hijr ki iddat guzar gai hai hum to aise rone lage hain jaise mohabbat guzar gai hai dasht-e-junun! majnun ke gham mein kya be-wahshat guzar gai hai ishq se be-parwa logon ki umr salamat guzar gai hai ai kuffar-e-tishna-badnan shab-e-jahaalat guzar gai hai ghur andhere mein parchhain kar ke harakat guzar gai hai dil se hasrat ka jaana tha aankh se hairat guzar gai hai 'shafaq'! mahurat ke chakkar mein saat-e-hijrat guzar gai hai