use yaqin na aaya meri kahani par wo naqsh dhund raha tha guzarte pani par safine thak ke tah-e-ab ho gae sare hunar khila na hawaon ka baadbani par main sakht-jaan tha aisa ki chikh bhi na saka fughan fughan thi jahan marg-e-na-gahani par main aasman ko samajhta raha harif apna gaya na dhyan kabhi us ki be-karani par 'mujibi' chup si ye kyun lag gai zamane ko kahan gae wo jo nazan the khush-bayani par