ushshaq bahut hain tere bimar bahut hain tujh husn-e-dil-aram ke haqdar bahut hain ai sang-sifat aa ke sar-e-baam zara dekh ek hum hi nahin tere talabgar bahut hain bechain kiye rakhti hai har aan ye dil ko kam-bakht mohabbat ke bhi aazar bahut hain mitti ke khilaune hain tere hath mein hum log aur gir ke bikhar jaane ke aasar bahut hain likkhen to koi misra-e-tar likh nahin pate aur 'ghaalib'-e-khasta ke taraf-dar bahut hain ai rabb-e-hunar chashm-e-inayat idhar bhi har-chand ki hum tere gunahgar bahut hain 'khawar' use pa lene mein kho dene ka dar hai andesha o hasrat ke miyan khar bahut hain