wahshat mein bhi rukh jaanib-e-sahra na karenge jab tak ki tumhein shahr mein ruswa na karenge ghabra gae betabi-e-dil dekh ke ai jaan thahro to abhi hijr mein kya kya na karenge mar jaun to mar jaun bura manen to manen phir kaise masiha hain jo achchha na karenge wo husn mein kaamil hain to hum sabr mein yakta ta umr kabhi zikr bhi un ka na karenge chhup chhup ke kahenge jo chhupane ke sukhan hain hum tum se kisi baat ka parda na karenge badnami se darte ho abas ishq mein ai 'barq' kab tak bashar is baat ka charcha na karenge