usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye meri zindagi ka mutaliba wahi ek fard hai kis liye tu jo shahr mein hi muqim hai to musafirat ki faza hai kyun tera karwan jo nahin gaya to hawa mein gard hai kis liye na jamal-o-husn ki bazm hai na junun o ishq ka azm hai sar-e-dasht raqs mein har ghadi koi baadgard hai kis liye tere husn se ye pata chala tujhe dekh kar ye khabar hui jahan rasta hi nahin koi wahan rah-naward hai kis liye jo likha hai mere nasib mein kahin tu ne padh to nahin liya tera hath sard hai kis liye tera rang zard hai kis liye wo jo tark-e-rabt ka ahd tha kahin tutne to nahin laga tere dil ke dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye koi wasta jo nahin raha teri aankh mein ye nami hai kyun mere gham ki aag ko dekh kar teri aah sard hai kis liye