usi hasin se chaman mein bahaar aaj bhi hai usi nazar se dilon ko qarar aaj bhi hai jo tha sada se mera gham-gusar aaj bhi hai juda usi se mere dil ka tar aaj bhi hai guzar gaya mere arman ka karwan lekin tere firaq ka udta ghubar aaj bhi hai bas ek jalwa-e-rangini-e-ada ke liye ye chashm-e-shauq meri be-qarar aaj bhi hai visal-e-yar ki khushiyan thi chand lamhon ki gham-e-habib se dil be-qarar aaj bhi hai