usi ka dard hai jis ke jigar ka lasha hai

usi ka dard hai jis ke jigar ka lasha hai
main jaanta hun ki baqi to sab tamasha hai

main kya bataun jo tuta hai mujh pe zulm-o-sitam
main kya likhun ki mera dard be-tahasha hai

buni hain sazishen mausam ne dhup se mil kar
hawa ne mere har ek phul ko kharasha hai

amir-e-shahr main tujh ko teri duhai dun
ki mera tola bhi teri nazar mein masha hai

ujadte hue wo kanpta to hoga 'zubair'
wo khwab hath nahin khun se tarasha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close