usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha main us ke waste kis waqt be-qarar na tha koi jahan mein kya aur tarah-dar na tha teri tarah mujhe dil par to ikhtiyar na tha khiram jalwe ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul kuchh aur us ke siwa mausam-e-bahaar na tha wo kaun nala-e-dil tha qafas mein ai sayyaad ki misl-e-tir-e-nazar aasman shikar na tha ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga ki mujh se badh ke to koi gunahgar na tha wafur-e-be-khudi-e-bazm-e-mai na puchho raat koi ba-juz nigah-e-yar hoshiyar na tha lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin koi libas na tha jo ki mustaar na tha to mahw-e-gul-ban-o-gulzar ho gaya 'asi' teri nazar mein jamal-e-khayal-e-yar na tha