gali mein ishq ki chala to husn ka fusun chala fareb kha ke aadmi wahan se sar-nigun chala raha wo sath jab talak mahak rahi thi rahguzar hamare sath sath jaise lashkar-e-sukun chala nibha saki na sath aashiqon ka kaenat bhi qadam qadam mila ke sirf jazba-e-junun chala tadap uthi hai tishnagi labon pe mere is qadar na aae jam mujh talak ye daur mein na yun chala mujhe hua yaqin apne ishq ke shabab par jab aansuon ke raston pe mere dil ka khun chala nigah-e-naz se nigah milne ki umid thi tamam umr chashm-e-tar mein khwab guna-gun chala paron se us ke kat gae bulandiyon ke aasman udan bhar ke jab hawaon par dil-e-zabun chala guzar gai sadi ye fikr-e-tir-e-chashm-e-naz mein tamam jism chhod kar ye sirf dil pe kyun chala hazaron aandhiyan simat ke panw se lipat gain utha to phir 'nadim' ishq ki hadon se yun chala